JOBS IN BANKING SECTOR (Part 1)

                                             JOBS IN BANKING SECTOR


Job ek aise cheez hai jiske baare me excitment bachpan se hoti hai. Bachpan se hi hamaare parents bolte hai ki acchee se study karo to acchi job milegi. Hamaare man me bhi job ko le ke kai vichaar dhaara banane lagti hai. Kyunki ye blog banking ke baare me hai to chaliye bank me job ko samjhte hai.


History of Banking job

Isme koi shaq nai hai ki phele ke time me banking ki job ek respectable job maani jaati thi. Banking ki job ko log ek bahut hi respect bhari nighaaoo se dekha karte the. Us time itna competition bhi nai huya karta tha. Sirf Govt bank hi huya karte the market me. Agar hum technology ki baat kare to computer or printer bhi naa ke baraabar hi huya karte the or ATM Machine bhi nahi huya karti thi. Aise me bank sir ek aise jagah huya karti thi jaha pe hum jaa ke paise withdraw/deposit, DD banwana, cheque deposit karna hota tha. Yaha tak ki net banking or mobile banking bhi nahi thi. Aise me bank me bheed hona to normal se baat thi. Or banking ki job ek responsible job bhi ho jaya karti thi. 


Today Banking Job

Agar hum baat kare phele or ab me to banking system me bahut change aa gaya hai. Computer ne jaise ki hamaari duniya hi badal di hai. Har jagah iska use kiya jaane laga hai. Or isi ki wajah se banking me bhi ek revolution aa gaya hai. Ab hame har cheez ke liye baar baar naa to bank jaane ki zarrorat hai or naa hi bank ke bahar lambi lambi line lagaane ki. 90 percent kaam aap ghar baithe baithe hi kar sakte ho. Mobile or net banking me features itne de diye gaye hai ki agar aapko agar cash yaa cheque deposit karna ho to hi aap bank jaa sakte hai nai to ghar yaa office me baithe baithe hi aap saare kaam ko anjaam de sakte hai. 

   Yaha tak ki bank chhataa hi nai ki customer uske bank me aayee. Or yahi wajah hai ki aaj hum bank ke bahar lambi lambi kataar khatam ho gaye hai. Log bank jaana nai chhaate. 


Competition bhi bahut aa gaya hai banking sector me. Ek taraf RBI govt bank ko merge kar ke unki sankhaya ghata rahi hai to woi dusri taraf roz naye naye bank ko license bhi diya jaa raha hai. Isme small finance bank ki list bhi lambi hai. 


Next blog me hum jaanenge ki hum bank me job kaise le sakte hai.





Comments

Popular posts from this blog

Diffrence between salary account & savings account 2019-20 financial year

Tax planning Financialyear 2019-2020 Taxbenefit

Best way to invest your money